Farhan Akhtar is a multi-talented person. We have seen how impeccable his acting is, but Farhan Akhtar is also an immensely profound poet, writer, director, singer, songwriter, and also producer. He is the son of Javed Akhtar, a renowned Indian Poet, writer, lyricist, and screenwriter.

Farhan has surely inherited his father’s skills. Akhtar was the lyricist for the movie, ‘Zindagi Na Milegi Dobara’, in wherein he also portrayed the role of a lyricist and poet interestingly, many poems helmed by his character Imran in the movie were written by Farhan Himself.

Farhan’s poems are loved by people and they have shown much appreciation towards the writer and his poems. Farhan has been sharing his poems on social media very often. Let us have a look at some of the very best poems he has shared.

“Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum … hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno seekho, tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho … har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen … joh apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum”

“Pighle neelam sa behta hua yeh samaan, neeli neeli si khamoshiyan, na kahin hai zameen na kahin aasmaan … sarsaraati huyi tehniyan pattiyan, keh rahi hai ki bas ek tum ho yahan … sirf main hoon meri saansein hai aur meri dhadkane, aisi gehraiyan, aisi tanhaiyan, aur main sirf main … apne hone pe mujhko yakeen aa gaya”

“Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya … humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai …duniya mein yunhi hota hai .yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai … thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa … aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai … kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai.”